Younhi ajnabi na bana karo, kabhi muskura ke mila karo...

**Younhi ajnabi na bana karo, kabhi muskura ke mila karo…
Kabhi sun to lo mera haal-e-dil, kabhi mujh se koi gila karo

Teri ik nazar teri ik adaa, mere dil ko kar diya la-pata…
Mere dosto, mere ham-nawa, mere dil ka koi pata karo…

Mere saamne hai safar hasee’n, mujhe manzilon ki khabar nahin
Meri manzilon ka nishaan ho tum, younhi mere saath chala karo

Yeh jo ishq hai, yeh hai la-dawa, yeh hai dard jis ka hai ik maza
Mujhe ishq hai mere dard se, mere dard ki na dawa karo…

Yeh tareeq-e-ishq hai kuch to ho, ya wafa karo, ya jafa karo
Koi faisa mere mehrbaan, koi rasm tum bhi ada karo…

Na hi zeest ka koi raasta, na hi khud-kashi ka hai hosla
Mujhe pyaar do, mujhe maar do, koi kaam tum bhi kiya karo **

Re: Younhi ajnabi na bana karo, kabhi muskura ke mila karo…

very nice :k:

Re: Younhi ajnabi na bana karo, kabhi muskura ke mila karo...

buhat khob

Re: Younhi ajnabi na bana karo, kabhi muskura ke mila karo...

bahut hi achi..

Re: Younhi ajnabi na bana karo, kabhi muskura ke mila karo…

gud one :k:

Re: Younhi ajnabi na bana karo, kabhi muskura ke mila karo...

GUD