Youn chup rehnaa Theek naheen koe meThee baat karo
mor chakor papehaa koyal sab ko maat karo
saavan to man bagiyaa se bin barase beet gayaa
ras main Doube naghmai ke ab tum barasaat karo
hijr ke ik lambe manzil ko janevala houN
apane yaadon ke kuch saaye mere saath karo
main kiranon ke kaliyaan chunakar sej banaa lounga
tum mukhre kaa chaand jalao roushan saree raat karo
pyaar bure shay nahen hai lekin phir bhee yaar “Qateel”
gali-gali taqaseem na tum apane jazabaat karo
![]()