**
…
…![]()
yoon zindagi kee raah mein…
takra gaya koi…
ik roshni andheron mein…
bikhra gaya koi…
woh haadsa woh pehli mulaqaat kya kahoon…
kitni ajab thee surat-e-halaat kya kahoon…
woh qehr woh ghazab woh jafa mujh ko yaad hae…
woh us ki bayrukhi ki ada mujh ko yaad hae…
mitTa naheen hay zehen se…
yoon chaa gaya koi…
pehle woh mujh ko dekh kar…
barham see ho gayi…
phir apnay hi naseem khayalaon mein kho gayi…
baychargi pe meri usay rehm aa gaya…
shayad mere tarapnay ka…
andaaz bha gaya…
saanson se bhee kareeb mere…
aa gaya koi…
ab us dil-e-tabah kee haalat na poochiay…
benaam aarzooun kee lazzat na poochiay…
eik ajnabi tha rooh ka…
armaan ban gaya…
ik haadsa tha pyaar ka…
unwaan ban gaya…
manzil ka raasta mujhay…
dikhla gaya koi…
yoon zindagi kee raah mein…
takra gaya koi…
…
…![]()
**