Yoon hi piyaare koi mansoor banaa kartaa hai

Yoon hi piyaare koi mansoor banaa kartaa hai
husn yeh ishq-e-sadaaqat sey milaa kartaa hai

laakh kehtey rahein woh chaak girebaan naa karun
kabhi deewana bhi paaband hua kartaa hai

izn sey likhney kaa funn hum kou naa ab tak aaya
wohi likhtey hein jou dil hum sey kahaa kartaa hai

uss key mamnoon hi hou jaatey hein darpey uss key
kiya buraa kartaa hai jou shakhs bhalaa kartaa hai

uss ki aawaaz suno shehar key daanish-mandoun
door parbat pey koi aah-o-bakaa kartaa hai

roaz kar jaata hai kuch aur pareeshaan mujh kou
khoob akhbaar meray dukh ki dawaa kartaa hai

aaj yeh aaib hai jaalib tujhe maaloom nahin
jaan kar husn tu har aik sey wafaa kartaa hai

Re: Yoon hi piyaare koi mansoor banaa kartaa hai

roaz kar jaata hai kuch aur pareeshaan mujh kou
khoob akhbaar meray dukh ki dawaa kartaa hai

Ummat padha karen.. khabar ki khabar.. entertainment ki entertainment :hehe:

Re: Yoon hi piyaare koi mansoor banaa kartaa hai

:k: