yoon dil ko har ik shakhs pay waara naheen kartay

yoon dil ko har ik shakhs pay waara naheen kartay
aankhon main har ik aks utaara naheen kartay

honee hay to ik baar hee ho jaaye mohabbat
ye bhool hay aisee kay dobara naheen kartay

acha hoa main nay hee faqat daikha magar yoon
mehfil main kisee ko bhee ishaara naheen kartay

mil jaye sar-e-raah jo bichra hoa koee
chup chaap hee taktay hain pukaara naheen kartay

kiyoon pyaar kee baazee say ho is darja guraizaan
kehtay hain kay dil haar kay haara naheen kartay

kajal say bhee ab kaam nay lay koee sahailee!
yoon dard say aankhon ko sanwaara naheen kartay

Re: yoon dil ko har ik shakhs pay waara naheen kartay

mene aik purany usatza ka kalam perha tha
us me aik shir tha nehayat behuda
mujhy bara gussa aaya tha perh k
es liay yad reh gaya
gai hein mery gher me sab tujhko taar
kia ker na rangeen isharat roz :disgust:

Re: yoon dil ko har ik shakhs pay waara naheen kartay

sha`ir khud bhi taaRo tha…?:rotfl:

Re: yoon dil ko har ik shakhs pay waara naheen kartay

khod hoga jabhi pata chala
verna yehi baat adam sahab ne bhi kahi thi
yey soofi mansh log
kaha ja rhy hein wazu k bhany

Re: yoon dil ko har ik shakhs pay waara naheen kartay

:omg:…wazu k baha`ny