**Yonhi ajnabi na bana karo
kabhi muskra ke mila karo
kabhi sun to lo mera hal-e-dil
kabhi mujh se koi gila karo
teri ik nazar teri ik adaa
mere dil ko kar dia la-pata
mere dost
mere hum-nawa
mere dil ka koi pata karo
ye tareeqa-e-ishq kuch to ho
ya wafa karo
ya jafa karo
koi faisla mere meharban
koi rasm tum bhi adaa karo
na hi zeest ka koi rasta
na hi khud-kushi ka hai hosla
mujhe pyar do…!!
ya
mujhe maar do…!!
koi kaam Tum bhi kia karo,**