:( -- Yom-E-Azaadi Mananay Ka Ab Armaan Naheen -- :(

Yom-E-Azaadi Mananay Ka Ab Armaan Naheen
Kyonkay Yeh Qaid-E-Azam Ka Pakistan Naheen :nahi:

Qaid Nai Mulk Banaya Tha Ghareebon Kai Liyain
Magar Ghareeb Ka Jeena Yahan Assaan Naheen

Shehr Jaltay Rahay Yeh Bansri Bajatay Rahay
In Shehanshah’on Mai Shayad Koee Insaan Naheen

Tujhay Bachanay Ko Marna Para Tu Haazir Hain
Yeh Sacha Ishq Hai Shah Ka Farmaan Naheen

Gali Gali Mai Faqat Khoun Aur Khounee Manzar
Janazay Roz Uthaana Koee Assaan Naheen

Vatan Ki Izat Ki Mil Jhul Kai Duaain Mangain
**Humara Farz Hai Uss Par Koee Ehsaan Naheen
:jhanda:
**

Re: :( -- Yom-E-Azaadi Mananay Ka Ab Armaan Naheen -- :(

Sannan
Thanks for sharing but my Pakistan will forever remain Quaid-e-Azam ka Pakistan ... Inshallah :)

Re: :( -- Yom-E-Azaadi Mananay Ka Ab Armaan Naheen -- :(

Sanan bhai dil tu waqae is youm e azadi......... per udaas hai magar kia karain :(

Re: :( -- Yom-E-Azaadi Mananay Ka Ab Armaan Naheen -- :(

nice...............:)

no doubt it'll remain qaid's pakistan but Sannaan desribed the present plight,which is not invisible.

Re: :frowning: – Yom-E-Azaadi Mananay Ka Ab Armaan Naheen – :frowning:

:k: :k: :k:

Re: :frowning: – Yom-E-Azaadi Mananay Ka Ab Armaan Naheen – :frowning:

Thanks Shazia g for the explanations … this is exactly what i wanted to say :lajawab:

Re: :frowning: – Yom-E-Azaadi Mananay Ka Ab Armaan Naheen – :frowning:

But still …

**Tera Pakistan hai yeh mera Pakistan hai
Is pe dil qurbaan is pe jaan bhi qurbaan hai **… :jhanda:

Re: :( -- Yom-E-Azaadi Mananay Ka Ab Armaan Naheen -- :(

nice sharing