**Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi…
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi…
Yehi bohot hai k tum dekhte ho sahil sy…
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi…
Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa k tumko…
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi…
Tum hi ny aayena-e-dil mera banaya tha…
Tum hi ny tor diya hai to koi baat nahi…
Kisy majaal kahy koi mujh ko deewana…
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahin…**