Yeh zara zara si baat per,
Tarha tarha ka azaab kiyon?
Jo kisi say bhi khafa na ho,
Mujhey us khuda ki talash hai.
Mujhey laghzishon pay her ghari,
Koi tokta hay baar baar.
Jisay ker k dil ko dukh na ho,
Mujhey us gunah ki talash hai,
Bina Humsafar k kab talak,
Koi musafaton main laga rahay.
Jahan koi kisi say juda na ho,
Mujhey us raah ki talash hay.
Mujhey daikh ker jo aik nazar,
Meray saray dard samajh sakay.
Jo is qadar ho Chara-e-gar,
Mujhey us nigaah ki talaash hay.
Re: yeh
baqi sub to bohat acha hay bus yeh sher.........
Jo kisi say bhi khafa na ho,
Mujhey us khuda ki talash hai
sorry.......yeh pasand nai aya
Re: yeh
Yeh zara zara si baat per,
is par aik sher yaad aa gia
hum nah hoon gaiay to koun manay ga tum ko
yeh buri bat hay, youN zara zara se baat par rotha nah karo tum