Dania
1
***Main hosh mein tha to phir us pay mar gaya kaisay
yeh zeher meray laho mein utr gaya kaisay
kuch us dil mein lagawat zaroor thi werna
woh mera hath daba ker guzr gaya kaisay
zaroor us ki tawajo ki rehbari ho gi
nashe mein tha to main apne hi gher gaya kaisay
jise bhulayee kayee saal ho gaye “Kamil”
main aaj us ki gali say guzr gaya kaisay
main hosh mein tha to phir us pay mar gaya kaisay
yeh zehr meray laho mein utr gaya kaisay
–
–
Re: yeh zeher meray laho mein utr gaya kaisay
Buhat Khoob 
Re: yeh zeher meray laho mein utr gaya kaisay
buhat aala!!!!!!!!!!!!
Re: yeh zeher meray laho mein utr gaya kaisay
hmm nice one... interesting
S.786
6
Re: yeh zeher meray laho mein utr gaya kaisay
best ghazal....jisy mehdi hasan ny nice andaaz men gayaa thaa....thanks ali
Sheal
7
Re: yeh zeher meray laho mein utr gaya kaisay
bohot khoob :k: