Filbadeeh Khud Gufta Kalaam " Raaz e nihaan ko munh pe laana kya zaroori hai? Tumhaare saamne aansoo bahaana kya zaroori hai? Agar kah bhi gaya tanhaai mein main tumko baat apni! Sar e bazaar usko kah sunaanakya zaroori hai? Khudaa ke dar pe jaakar ro bhi lenge gidgidaa lenge! Magar dushman ke aage gidgidaana kya zaroori hai? Subhaan Allah ye sar jhuktaa rahey farsh e masaajid par! Kisi kaafar ke dar par sar jhukaana kya zaroori hai? Ugal de sona mehnat se yeh Pakistaan ki mitti! Yeh mitti chhor kar pardes jaana kya zaroori hai?
**Aakhri sher likhtey hue mujhe nihayat gham aur nadaamat ka ehsaas ho chala aur is ghazal ko mukammal kar na saka. Meri ankhein ashkon se labrez hain. Mujhe meri ammi aur mere Chinyot ki yaadein phir se sataane lageen. Main kab apni maan aur maadar e watan se aa miloonga? **
thanew sooo much to all of u......who liked the poem.....
Lutfullah: u wrote a really gud poem....especially the last two lines...Insaan ki majboori uusay kahan kahan nahi lay jati...iisi ka naam zindagi hai...
wah g wah buhat zabardust sharing MG , MashaAllah Sahab-e-zooq logoon kay sath rah rah kar aap ka souq bhi buhat he Aala ho gya hay :D ... aap key nazam parh kar ek she'r yaad agya ....
Seeratain Bay Qayas Hoti Hain, Sortain Ghum Shanas Hoti Hain
Jin Kay Hontoon Par Muskarahat Ho Unn Key Aankhain Udas Hoti Hain