**Yeh weham nahi to kya hay, yeh gumaaN nahi to kya hay
yeh jo dil say utth raha hay, yeh dhuwaaN nahi to kya hay
tujhey kis dard ka rishta meray dar pay kheanch laaya
tujhey kis nay keh diya tha meray paas har daawa hay
teray kisi dukh ka chaaraa meray haath meiN nahi hay
meiN to khud bekaraaN hooN merey paas kya dharaa hay
abhi bastiyaaN yaheeN heiN, tu loat jaa yaheeN say
meray sath sath na chal tu, ye bohat burra juwa hay
tujhay kya khabar ay hamdam ke teri aarzu ke badlay
meray dil pay jo laga tha, ab tak wo zakhm haraa hay
par gila nahi hay tujh say, meray khaloos meiN hi kami hay
meiN ney jisay bhi dil say chaaha, usay laga ke wo khuda hay
meiN koi waqiya nahi hooN, mujhey es tarha na socho
meri daastaaN ko chorro, bhala es meiN kya maza hay
tu laot kay aa gayaa hay, par mera dil to bujh chuka hay
ab tu kisi aur say pyaar kar ley, bas yehi teri sazaa hay**