Yeh watan tumhara hay
Tum ho paasbaan is kay
Yeh chaman tumhara hay
Tum ho naghman-khwan is kay
Is chaman kay pholon par
Rang-o-aab tum say hay
Is zamin ka har zarra
Aaftab tum say hay
Yeh fizaa tumhari hay
Behr-o-barr tumahray hain
Kehkashan kay yeh jalway
Rahguzar tumharay hain
Yeh watan tumhara hay
Tum ho paasbaan is kay
Is zameen ki mitti main
Khoon hay shaheedon ka
Arz-e-pak markaz hay
Qaum ki ummedon ka
Nazm-o-zabt ko apna
Mir-e-karwan jaano
Waqt kay andheron main
Apna aap pehchano
Yeh watan tumhara hay
Tum ho paasbaan is kay
Yeh zameen muqadas hai
Maan kay pyaar ki surat
Is chaman main tum sab ho
Barg-o-baar ki surat
Dekhna gawana mat
Daulat-e-yakeen logo
Yeh watan amanat hai
Aur tum ameen logo
Yeh watan tumhara hay
Tum ho paasbaan is kay
Meer-e-karwan hum thay
Rooh-e-karwan tum ho
Hum to sirf unwan thay
Asal dastaan tum ho
Nafraton kay darwazay
Tum band hi rakhna
Is watan kay parcham ko
Sar baland hi rakhna
Yeh watan tumhara hay
Tum ho paasbaan is kay