yeh jo zeest ka safar hai
yeh jo rasta hai mera
tum agar na saath do gay
to yeh kiss tarah katay gaa
meri soch ki hadon tak
yeh guman he kaisay ayay
koi pal bina tumharay
bhala kaisay beet jayay
meray pass tum nahi ho
meray pass kab nahi ho?
meri yaad k nagar main
meri unglyon ko thamay
meray shanay sir lagayay
meray khwab k safar main
meri soch ki tahon main
meri ankh kay bhanwar main
meray dil main, jan main, tan main
meri hasraton k bun main
meray din ki teergi main
meri shab ki roshni main
ha yumhi ho har kahin ho
meray pass tum nahi ho
meri har dua ka mehwar
bass ek arzoo tumhari
issi arzoo say agay
koi rasta nahi hai
TUMHAIN KISS QADAR HAI CHAHA
YEH TUMHAIN PATA NAHI HAI