hamari chaahtoN ki buzdili thi
warna kiya hota
agar yeh shoq kay mazmooN
wafa kay ehad-naamay
aur diloN kay marsiyay
aik doosray kay naam kar daitay
ziyada say ziyada
chaahtaiN badnaam ho jaateeN
hamaari dosti ki daastaanaiN aam ho jaateeN
to kiya hota
yeh ham jo zeest kay har ishq mai sachhaaiyaaN sochain
yeh ham jin ka asaasa tashnagi, tanhaaiyyaaN sochain
yeh tehreeraiN
hamaari aarzu-mandi ki tehreeraiN
baam-paivastagi aur khvaab-paivandi ki tehreeraiN
firaaq-o-vasal-o-mehroomi-o-khorsandi ki tehreeraiN
ham in par munfa’il kiyoon hoN
yeh tehreeraiN
agar aik doosray kay naam ho jaaeyn
to kiya is say hamaray fun kay rasiya
shayr kay maddaH
ham par tuhmataiN dhartay
hamaari hamdami par tanz kartay
aur yeh baatain
aur yeh afvaahaiN
kisi peeli nigaarish maiN
hamaisha kay liyay marqoom ho jaateeN
hamari hastiyaaN mazmoom ho jaateeN
nahi aisa na hota
aur agar bilfarz hota bhi
to phir ham kiya
subuk saraan-e-shehar-e-harf ki chaaloN say dartay haiN?
sagaan-e-koocha-e-shuhrat kay ghogha
kaalay bazaaroN kay dalaaloN say dartay haiN?
hamaaray harf jazboN ki tarah
sachay hain, paakeezah hain, zinda hain
bala say agar ham masloob ho jaatay
yeh soda kiya bura tha
gar hamaaray qabar kay kutbay
tumharay aur hamaray naam say mansoob ho jaatay!
Faraz
ﻰﻫ ﻲﺘﻫﺭ ﻲﺗﻭﺭ ﺶﻫﺍﻮﺧ ﻱﻮﮐ ﺪﻳﺎﺷ