YeH SaCh HaI

Yeh sach hai un se nigahain kabhi mila na sakay
hum un ki yaad ko lekin kabhi bhula na sakay
Woh khush naseeb sahi,tujh se jo qareeb hain
hum budnaseeb hain jo ghum se dur jaa na sakay
Chah ker chandni bhi us husn ko pohanch na sakee
nikhar ke phool bhi us ka shabaab laa na sakay
Qaid-e-ghum main bhi yeh aansu khushi ke qasid hain
jo un ke deedar ke doraan hum chuppa na sakay
Hazar Gardish-e-doraan ke saath khail chukkay
magar tumharee nazar ka mizaaj paa na sakay
jhijik jhijik ker nazar un ke dil tak aa pohanchii
yeh woh safar hai ke manzil jise bhula na sakay
Masroof tha mulaqaat main magar
yeh maslihat thi ke hum donoon muskura na sakay

Re: YeH SaCh HaI

Hazar Gardish-e-doraan ke saath khail chukkay
magar tumharee nazar ka mizaaj paa na sakay

Wah… :k:

Re: YeH SaCh HaI

very nice

Re: YeH SaCh HaI

Bohat khoob Janwar ....

Re: YeH SaCh HaI

^^very nice janwar, wah wah