yeh mojza bhi mohabbat kabhi dikhaae mujhe
ke sang tujh pe gire aur zakham aaye mujhe
mein ghar se teri tamanaa pehan ke jab nikloon
berahna shehar mein koi nazar na aaye mujhe
woh he to sab se ziada hai nuqta cheen meraa
jo muskaraa ke hamesha gallay lagaye mujhe
wo meraa dost hai saray jahaan ko hai maloom
daghaa wo kare kisi se to sharm aaye mujhe
woh maherabaan hai to iqaraar kyon nahin karta
woh badgumaan hai to soo baar aazamaaye mujhe
main apnay paoon tallay raundataa hoon saaye ko
badan meraa hii sahii dopahar na bhaaye mujhe
main apni zaat mein nelaam ho raha hoon QATEEL
gham-a-hayaat se keh do khareed laaye mujhe
(Qateel Shifai)