Azad
1
yeh mohabaton ke qisay baRay talkh ho gay hain
Mere bakht kay sitaray baRay talkh ho gay hain
Mere naama bar ne raste apany bana liay hain
Meri aas ke saharay baRay talkh ho gay hain
Yeh jo zulf e yaar bikhri, sir e bazo e raqibaN
Shab o roz aashiqon ke baRay talkh ho gay hain
Mere sabar! imtehaN hay mere jazba e jonoN ka
Kisi chasha’m ke isharay baRay talkh ho gay hain
Koi sa’neha howa hay, koi had’sa howa hay
keh Khatak ke shair saray baRay talkh ho gay hain
(Ajmal Khatak - translation Khatir Ghaznavi)
Re: yeh mohabaton ke qisay baRay talkh ho gay hain
so true sub kuch hi talkh hogya hai :hinna:
Koyal
3
Re: yeh mohabaton ke qisay baRay talkh ho gay hain
aur ap b aj kal koyal k saath baray talakh ho rahya haiN 
Azad
4
Re: yeh mohabaton ke qisay baRay talkh ho gay hain
pee ja aaýam ki talki ko tu hanss ke Nasir
Azad
5
Re: yeh mohabaton ke qisay baRay talkh ho gay hain
koyal khud meethi to osse sara zamana talkh lage
Koyal
6
Re: yeh mohabaton ke qisay baRay talkh ho gay hain
nahi zamana se kia laina daina ap he bohat talak ho gaye 
Azad
7
Re: yeh mohabaton ke qisay baRay talkh ho gay hain
hum aise kaise
woh bhi koyal ke saat. Toba Toba
Koyal
8
Re: yeh mohabaton ke qisay baRay talkh ho gay hain
kia hia na ap ne koyal k saath 
Azad
9
Re: yeh mohabaton ke qisay baRay talkh ho gay hain
namomkin, kisi chora/chori nay aap ke kaan bharay honge
Koyal
10
Re: yeh mohabaton ke qisay baRay talkh ho gay hain
nahi tu ap ne mu pe kaha k koyal ab bahar hia 
Azad
11
Re: yeh mohabaton ke qisay baRay talkh ho gay hain
bahaar matlub. aap mousam bahar ke pholon ki tarah shagofta or shehd ki tarah meethi hain. khush?
Sannan
12
Re: yeh mohabaton ke qisay baRay talkh ho gay hain
Ek Talkhi Bhari sharing ..... nice yaar but sugar buhat mahangi hay pyaray kuch sheerni bhari ghazal he bhaijwa do .....