Yeh misraa nahi wazeefa mera hai
ki Khuda hai mohabbat, mohabbat Khuda hai
kahoon kis tarah ke woh bewafa hai
ki mujhko uski majbooriyon ka pata hai
hawa ko bahut sarkashi ka nasha hai
magar yeh na bhooley diya bhee diya hai
main uss se khafa hoon , woh mujhse khafa hai
mohabbat ke maaron ka fazl-e-Khuda hai
nazar mein hai jaltey makanon ka manzar
chamakte hain jugnu to dil kaanpta hai