~yeh meray khuwaboon ki kehkashan hay~

**Her ik tamana lahu lahu hay.. ..
Mager hawa’oon kay neram lehjay,
Mujhse dheeray say poochtay hein,
Yeh kaisi rangoon ki barishein hein?
Yeh kaisay jugnoo chamak rahay hein?

*Yeh meray khuwaboon ki kehkashan hay.. ..
*Wu zindagi kay azab saray.. ..
Yeh meri ankhoon kay khuwab saray!!
Mein apni bay-kaif zindagi kay azab likhoon?
Kay band aankhoon kay khuwaab likhoon?

**

Re: ~yeh meray khuwaboon ki kehkashan hay~

so true...i feel like crying...really......

Re: ~yeh meray khuwaboon ki kehkashan hay~

nice.........

Re: ~yeh meray khuwaboon ki kehkashan hay~

At times we feel down, but I think our dreams help us to come out and fight back.
May Allah Subhana helps us all in every possible way, Ameen.

Re: ~yeh meray khuwaboon ki kehkashan hay~

Shukriya PK aap hamesha mera selection perhtay hein. Thanks

Re: ~yeh meray khuwaboon ki kehkashan hay~

lakin aap yeh zahmat naheen karteen u missed my one post ~ KIS K Liyay tha ~

Re: ~yeh meray khuwaboon ki kehkashan hay~

ok, i will read it now, hang on

Re: ~yeh meray khuwaboon ki kehkashan hay~

Nice one....................lahoo lahoo bhi hoon to Khuwab deekhnaa chorr nahi deetay

u never know when things turn around

Re: ~yeh meray khuwaboon ki kehkashan hay~

Band aankhon ke khwab likho magar aankhein khol ke :stuck_out_tongue:
Buhat hee achee nazm hai :k: :slight_smile:

Re: ~yeh meray khuwaboon ki kehkashan hay~

ji haan, lekin suna nahi hay

**Khuwab hutay hein daikhnay k liye
unmein ja ker magar raha na keru…

thanx anyway
**

Re: ~yeh meray khuwaboon ki kehkashan hay~

hmmm, mujhay azad saab hu gaye hein… lol :smiley:

Re: ~yeh meray khuwaboon ki kehkashan hay~

Jab rahna naheen ho to khwab dekho hee kioon? :expressionless:
Mujhe aapkee ideology se inkaar hai :snooty:

Re: ~yeh meray khuwaboon ki kehkashan hay~

Mubarkaan shubarkaan :flower1:
Mujhe behad khushee huee yeh jaan ke, ke kisee ko Azad bhee hua :biggthumb

Azad Bhayee: hmmmmmmmmmmmmmmmmm :wink: