Yeh maujza bhi muhabat kabhi dikhaye mujay
Kay saang tujpay ghiray aur zakham aaye mujay
Wohi to sab se ziada hai nuktaChin mera
Jo mukura kay hamesha ghalay lagaye mujay
Main apnay dil se nikalon khayal kis kis ka
Jo tu nehi to koi aur yaad mujay
Woh meharban hai to iqrar kyu nehi kerta
Woh baadGhuman hai to soo baar aazmaye mujay