Yeh maanaa mein Kisi Qaabil nahin huuN in Nigaahon meiN

Tum Apna Ranj-o-Gham apni Pareshani Mujhay de do
Tumhain Unki Qasam iss Dil Ki weeraani Mujhay de do
Yeh maanaa mein Kisi Qaabil nahin huuN in Nigaahon meiN
Buraa kyaa hay agar yeh Dukh, yeh Haeraani Mujhay de do
Main dekhuun tou sahi Duniyaa Tumhain kaesay sataati hay
Koi Din kay liye apni Nigehbani Mujhay de do
wuh dil jo mein nay maanga tha magar ghaeron nay paaya tha
barri shai hay agar usski pashemaani Mujhay de do


~~~~*
“If you belong to Allah, rest assured that Allah will indeed belong to you”
“Dream as if u live forever live as if u will die today”
“The best way to cheer yourself up is to try to cheer somebody else up.”
~~~~*

[This message has been edited by Shaam-e-Firaq (edited February 05, 2002).]