Heraan hain sab…k…
yeh lab…!.
janain kesay bool paray ab!..
yeh to thay junbish say aari..
in ki chup thi baatain saari…
udaasi hi ka mousam rehtaa yahaan
na koi hijr ka iztraab..
na koi wasl ki beqraari..
khamooshi kay is samundar main..
muskaan ki lehr..
na kabhi ubhri..na kabhi sahil pay utri..
yeh lab!..
jo na thay kabi juda huya..
aaj!..aaj! yakdam hi goyaa huyay
jo thay junbish say aari..
ruh ko larzaa gaye …jab larzaa huyay
keh gaye..
“chand ghariyoon ki saa-at hay..
Sunoo!..
Mujay bas tum say muhabbat haiy”..
Re: Yeh Lab...
buhat khob
Re: Yeh Lab...
wonderful sharing :)
Re: Yeh Lab…
very very nice:)
mein yehi post karnay ka soch rahi thee ![]()
Re: Yeh Lab…
:k: :k: Bohaat Khoob!!!
![]()
Re: Yeh Lab...
Very nice.
Re: Yeh Lab…
Nice one Dania_2000 :k:
Re: Yeh Lab...
Nice nazm dani by the way u bz ppl where u hv been !