yeh kya keh sab sey bayaan dil ki haaltain karnii
Faraz tujh ko naa aayeen mohabbatain karnii
yeh qurb kyaa hai keh tuu saamnay hai aur hamain
shumaar abhii say judaayee kii saa´tain karnii
sub apnay apnay qareenay say muntezar us kay
kisii ko shukar kisii ko shikaayetain karnii
hum apnay dil say hain majboor aur logon ko
zaraa sii baat peh barpaa qayaamtain karnii
milain jub un say, mubham sii guftaguu karanaa
phir apney aap say sou sou wazahtain karnii
yeh log kaisay magar dushmanii nibhatay hain
hamain tou raas naa aayeen mohabbatain karnii
kabhii Faraz naye mosamon main roo daina
kabhii talaash puraanii rafaaqtain karnii