sehar ban ke aankhen khulien to haqeeqat ka pura sabaq dastan ho gaya
yeh kia hai,mohabbat mean ek shakhs ki apna sara safar raai,gaan ho gaya
kahan tak sunao gae zameen se zameen tak meri dastan-e-kamal o urooj
main pehlay hisar-e-badan mean raha phir aseer-e-zaman o makan ho gaya
kahan hum ne khoen bashaarat ki raaten jawani ki baten meray hum nawa
na khabon ki khushboo na pareon ke melay,sabhi apna wehm o guman ho gaya
bisat-e-hunar se junoon-e-talab tak main toota hoon kaisay tumhen kia khabar
main dil hadon se jo agay gaya to meray sath gum ek jahan ho gaya
zamany ki uljhan mean dil ki ghutan bhi bohat jan lewa hui jis samay
tumhen hum ne socha to dekha kay pal bhar mean kitna payara saman ho gaya
agerche kahin shaz o nadar hi hota hai aisay kay jaisay hua hai yahan
abhi phool khilnay lagay thay kay gulshan ka gulshan hi naza-e-khizan ho gaya
abhi chaand pehnay hai badal ki chaadar abhi SAAD thero ghari do ghari
bari jald bazi hai tujh mean meri jan hua kia manzar jo dhuaan dhuaan ho gaya