Yeh kaisi majboori?

Yeh kaisi Majboori?

Maanaa k kuch juda sa hai rishta tera mera
Maanaa k manzil shayud iska haasil nahiN
Faqt kuch hi pal haiN teray-meray
Maanaa k is mauj-e-ishq ka saahil nahiN

Teri zulfoN kay dasht main milay jo chaNd lamhaiN
RiNd ho jauN tab teray laboN ka ras pi kar
Aur doobaa rahuN teray mast nainoN ki waadioN main
God main teri meri jaaN ! sir rakh kar

Uff!shiddat say ho meray aagosh main jab tu
Mil jayay un lamhoN main umr bhar ka saqooN
Teray badan ki khusbu bus jayay saaNsoN main meri
Aur har samt ho teri ulfat ka fasooN

Woh teray chayray par khailtaa tabssum
Woh tera meray paas hona to itraanaa
Woh gaanaa tera meray liyay koi naghmaa
Woh haNstay haNstay teri aaNkhoN ka dubdbaa jaanaa

Farz ki zanjeeroN main jakraa
Teray ankahay swaaloN ka bhi gunhagaar hooN main
Aur sun kar tarap jaataa hooN gehray tak
Tera kehnaa dafaatun k tera pyaar hooN main.


Re: Yeh kaisi majboori?

wow - nice one!

Re: Yeh kaisi majboori?

*Maanaa k kuch juda sa hai rishta tera mera
Maanaa k manzil shayud iska haasil nahiN
Faqt kuch hi pal haiN teray-meray
Maanaa k is mauj-e-ishq ka saahil nahiN *

very nice :)

Re: Yeh kaisi majboori?

nice one b :)

Re: Yeh kaisi majboori?

Good stuff. :(

Re: Yeh kaisi majboori?

I am thankful to all of u for the kind words.