**yeh kaisa khauf tha keh rakht-e-safar bhi bhool gaye
woh kaun log thay keh apnay ghar bhi bhool gaye
yeh kaisi qouvat-e-parvaaz dar ne paida ki
parinday urtay huay apnay par bhi bhool gaye
dukhon nay chheen li aankhon ki saari benaye
hum uska sheher tu kya reh guzar bhi bhool gaye
khayal tha keh sunayein ge haal-e-dil laiken
hum uskay saamnay arz-e-hunar bhi bhool gaye
juda huye tu khula hai tumhari basti main
hum ik dil hi nahiin chashm-e-tar bhi bhool gaye**