yeh ju zeast ka safar hay

a beautiful nazam for all you poetry lovers so enjoy :slight_smile:

***Yeh jo zeast ka safar hay ***
yeh ju rishta hay mera
tum agar na sath do gay
tu kiss tarh katay ga
meri such ki hadon tak
yeh guman bhi keasay aay
***koi pall bina tumharay ***
bhala keasay beet jaay
meray pass tum nahi …
meray pass kab nahi ho!
meri yad kay nagar mein
meray khawab kay safar mein
meri soch ki tehon tak
meri ankh kay bhanwar mein
meray dil mein jaan mein tann mein
meri hasraton kay bann mein
meray din ki teargi mein
meri shab ki roshni mein
haan tumhi ho, har kahin ho
meray pass tum nahi ho
meri har dua ka mehwar
***bass ik arzoo tumhari ***
***issi arzoo say aagay ***
***koi rasta nahi hay ***
*tumhein kiss qadar hay chaha
***yeh tumhein pata nahi hay ***


By Salman Qaisar

Re: yeh ju zeast ka safar hay

Zabardast..
Thx 4 sharinG!

Re: yeh ju zeast ka safar hay

Bolay to fit hai

Re: yeh ju zeast ka safar hay

very nice :-)
thanks for sharing

Re: yeh ju zeast ka safar hay

Lovely...

Bohat Aala faithful...

Re: yeh ju zeast ka safar hay

Zabardast sharing,thanx!