Yeh jo Zindagee ki kitaab hai,
yeh kitaab bhi kya kitaab hai
Kahin ik haseen sa khawab hai ,
kaheen jaan leva azaab hai
Kahin aansoon ki hai daastaan,
kahin muskurahaton ka bayaan
Kai chehray is mein chupay huey ,
ik ajeeb sa yeh naqaab hai
Kahin kho dia ,
kahin paa liya,
kahin ro liya ,
kahin gaa kya
Kahin cheen leti hai her khushi,
kahin meherbaan be hisaab hai
Kahin chaaon hai kahin dhoop hai,
aur kaheen koi roop hai
Kahin barkaton ki hain baarishein ,
kahin tashnagi be hisaab hai