Yeh jo Zindagee ki kitaab hai, yeh kitaab bhi kya kitaab hai

Yeh jo Zindagee ki kitaab hai, yeh kitaab bhi kya kitaab hai
Kahin ik haseen sa khawab hai , kaheen jaan leva azaab hai

Kahin aansoon ki hai daastaan, kahin muskurahaton ka bayaan
Kai chehray is mein chupay huey , ik ajeeb sa yeh naqaab hai

Kahin kho dia , kahin paa liya, kahin ro liya , kahin gaa kya
Kahin cheen leti hai her khushi, kahin meherbaan be hisaab hai

Kahin chaaon hai kahin dhoop hai, aur kaheen koi roop hai
Kahin barkaton ki hain baarishein , kahin tashnagi be hisaab hai

:eek:

Hammad Yane ke Tum bhi … :wink:

Nice One Lalay :smiley:

:flower2: very nice:flower1:

lalay lalay na kar waran puke pukhe kar daye ga :stuck_out_tongue:

thank u DF

nice :flower2:

kia baat hai

very good bauhat acha lika hai dost. isi baat per ye bhi add karlo

na samajh saka na bata saka na chupa saka na dikha saka
mere ashk to kahaain dastaan meri muskurahat hijaab hai.

Re: kia baat hai

[QUOTE]
*Originally posted by DADDU: *
very good bauhat acha lika hai dost. isi baat per ye bhi add karlo

na samajh saka na bata saka na chupa saka na dikha saka
mere ashk to kahaain dastaan meri muskurahat hijaab hai.
[/QUOTE]
time nahi hia :p

achee kawish hai:rotfl: :rotfl:

nice work

its great