yeh jo reeg e dast e faraq hai, yeh rukay agar

yeh jo reeg e dast e faraq hai yeh rukay agar
yeh rukay agar to nishan milay,
yeh nishan milay
ke joo faasloon ki saleeb hai
yeh garhi hui hai kahaan kahaan
mairay aasmaan se kahaan gayii teray iltifaat ki kehkashaan

mairay be khabar, mairay be nishaan
yeh rukay agar to pata chalay
main thaa kis nagar ko rawaan dawaan
kay zamaan o makaan ki wusatain
tujay daikhnay ko taras gayein
woh mairay naseeb ki barishain
kisi aur chat pai baras gayiien
mairay chaar soo hai ghubaar e jaan,
woh fishaar e jaan,
kay khabar nahi mairay hath ko mairay hath ki

mairay khawab say teray baam tak
teri rehguzar ka to zikr kai
nahii zoofishan tera naam tak
hain dhuwaan dhuwaan mairay istakhwaan

mairay ansoowon main bhujay howay mairay istakhwaan

mairay naqsh gar mairay naqsh e jaan
iss reeg e dast e firaaq main rahay muntazir
teray muntazir…!!!

mairay khawab jinkay fishaar main
rahi miray haal say baykhabar
teri rehguzar kay jo naksh hain mairay hath par…

magar iss balaaa ki hai tairgi
kay khabar nahi mairay hath ko mairay hath ki
woh jo chashm e shubadaa saaz thii , woh uthay agar
mairay istakhwaan main ho roshni
ussi aik lamhaa e deed main teri rehguzar…!!

meri teri jaan chamak uthay
meray khawab say teray baam tak
ussi aik pal main hoo jawidaan
mairi arzoo ke hai baykaraan
mairi zindagi ke hai mukhtasir

yeh jo reeg e dasht e faraq hai, yeh rukay agar…

Nice1......

thanx Swera..