Yeh jo raig-e-dasht-e-firaaq hai...

Yeh jo raig-e-dasht-e-firaaq hai…yeh rukay agar…
yeh rukay agar to nishaan milay…yeh nishaan milay…
kay jo faaslon ki salaib hai…
yeh gari hui hai kahan kahan

meray aasman say kahaan gayee
teray iltifaat ki kehkashaan…

meray bey-khabar…meray bey-nishan
yeh rukay agar to pata chalay
may tha kis nagar… tu raha kahan…!

kay zaman-o-makan ki wus-atain…
tujhay dekhnay ko taras gayeen
woh meray naseeb ki baarishain…
kissi aur chhat pay baras gayeen…

meray chaar soo hai ghubaar-e-jaan woh fishaar-e-jaan
kay khabar nahi meray haath ko…meray haath ki..
meray khwab say terey baam tak
teri rahguzar ka to zikr kiya
nahi zoofishaan tera naam tak

hain dhuan dhuan meray istakhwan
meray aansuoon may bujhay huay meray istakhwan
meray naqsh-e-gar, meray naqsh-e-jaan
is hi raig-e-dasht-e-firaaq may rahay muntazir, teray muntazir
meray khwab jin kay fishaar may
rehi meray haal say bekhabar teri rahguzar

teri rahguzar kay jo naqsh hain meray haath par
magar is bala ki hai tairagi
kay khabar nahi meray haath ko, meray haath ki…

woh jo chasham-e-shaubda saaz thi, woh uthay agar…
meray istakhwan may ho roshni
is hi ik lamha deed may teri rahguzar
meri teera-jaan may chamak uthay

meray khwab say teray baam tak
sabhi manzaron may damak uthay

is hi aik pal may ho jaavedan
meri aarzoo kay hai bekaran meri zindagi…
…kay hai mukhtasar…

yeh jo raig-e-dasht-e-firaaq hai…yeh rukay agar!!!

Rgrds.

Naila.

hummm

Aha kya baat hai …
Nice selection neeli. :flower1:

Who’s the poet?

Hi,

i think its Amjad Islam Amjad...

Rgrds,

Naila