***Wo nazar say door tou hain magar yeh ajeeb soorat e haal hai
Ha-ma waqt pesh e nazar bhi hain,na firaq hai na wisaal hai
Na wo hum say gum na hum un say gum,wo udher khafa hum idher khfa
Na unhain hamara khiyal hai, na hamain dimagh e sawal hai
Yehi qurbatain yehi faaslay tou khulus e ishq ki jaan hain
Kabhi gard e ranj o malaal hai,kabhi fikar yeh pesh e haal hai
Yeh tumhari kaj adaiyan koi aur seh k dikha tou day
Yeh jo hum mein tum mein nibah hai, mere hoslay ka kamal hai
Mujhay is ka koi bhi ghum nahee k kisi nay mujh say wafa na ki
Mai kisi k kaam na aa saka,mujhay sirf is ka malaal hai
Jo guzer rahi hai guzar dou, na bura kaho na gila kero
Jo tumhara haal hai dosto,wohi saray shehar ka haal hai
Woh kahan say laoun roshni ,jo kisi k shehar mein lut gaee
Woh aainon ka shehar bhi lut gayia,mujhay is ka aur malaal hai
Tere mashwaray k khulus pe mujhay tark e ishq qubool hai
Magar aik baat hai hum- nasheen meri zingadi ka sawal hai