dosto: aadaab!
aik nayee Ghazal Haazir.e.Khidmat hai. ummeed hai k pasand aaye gee aur aap apnee raa’e se sarfaraaz kareN ge. shukriya!
GHAZAL:
**yeh Husne.e.balaa.Khez yeh andaaz.e.muHabbat!
aisaa na ho khul jaaye kaheeN raaz.e.muHabbat!
maiN jab huaa shaa’ista.e.e’jaaz.e.muHabbat
Khaamoshee miree ban gayee aavaaz.e.muHabbat!
her zarra.e.hastee huaa hamraaz.e.muHabbat
jab soz.e.muHabbat meiN milaa saaz.e.muHabbat!
yeh rasm.e.vafaa sirf hamaare hee liye hai
auroN kaa judaa iss se hai andaaz.e.muHabbat!
ab fikr.e.seHar hai na Gham.e.shaam.e.GhareebaaN
raas aa gayee kyaa ham ko tag.o.taaz.e.muHabbat?
ham teerah.naseeboN ka muqaddar hai to yeh hai
afsaanah huaa jaataa hai her raaz.e.muHabbat
her lamHa.e.Gham vajh.e.sukooN ban gayaa kaise?
Allah re guhar.baaree.e.eejaaz.e.muHabbat!
jo dil pe guzartee hai voh kiss dil se bataayeN?
anjaam banaa jaataa hai aaGhaaz.e.muHabbat
duniyaa kee nigaahoN meiN buraa ban gayaa Waseem
jis din se huaa zamzama.pardaaz.e.muHabbat!!!**
**Waseem Ahmed **