Yeh hath salaamat hain jabtak- A Tribute to Labor

Lets share some poetry about Mazdoor to pay tribute to our labor force.

Ye Haath Salamat Hain Jab Tak
Is Khoon May Hararat Hai Jab Tak
Is Dil May Sadaqat Hai Jab Tak
Is Nutq May Taqat Hai Jab Tak

In Tauq O Salasil Ko Ham Tum
Sikhlaaingay Shorish i Parbat O Nay
Wo Shorish Jis Kay Aagee Zaboon
Hangama e Tabli Qaisar O Kay

Azaad Hain Apne Fikr O Amal
Bharpoor Khazeena Himmat Ka
Ik Umr hai Apne Har Saa’at
Imrooz Hai Apna Har farda
Ye Sham O Sahar Ye Shams O Qamar
Ye Akhtar O Kaukab Apne Hain
Ye Lauh O Qalam Ye Tabl O Alam
Ye Maal O Hasham Sab Apne Hain

Ye Haath Salamat Hain Jab Tak
Is Khoon May Hararat Hai Jab Tak


Restored attachments:

Re: Yeh hath salaamat hain jabtak- A Tribute to Labor

:lajawab:

Re: Yeh hath salaamat hain jabtak- A Tribute to Labor

https://fbcdn-sphotos-b-a.akamaihd.net/hphotos-ak-ash3/947076_290552487746614_2019860680_n.jpg

Re: Yeh hath salaamat hain jabtak- A Tribute to Labor

utho meri dunya k garibon ko jaga do
khak-e-umra k dar-o-diwar hila do

garmao ghulamon ka lahu soz-e-yaqin se
kunjishk-e-phiromaya ko shahin se lara do

sultani-e-jamahur ka ata hai zamana
jo naqsh-e-kuhan tum ko nazar aye mita do

jis khet se dahqan ko mayassar nahin rozi
us khet k har khosha-e-gandum ko jala do

kyon khaliq-o-makhluq mein hayal rahen parde
piran-e-kalisa ko kalisa se hata do

main nakhush-o-bezar hun marmar k silon se
mere liye mitti ka haram aur bana do

tahazib-e-nawin kargah-e-shishagaran hai
adab-e-junun shayr-e-mashriq ko sikha do

Re: Yeh hath salaamat hain jabtak- A Tribute to Labor

Ret se but na banaa ai mere achchhe fan_kaar

EK lamhe ko Thahar mai.n tujhe patthar laa dun
Main tere saamane ambaar lagaa dun lekin
Kaun se rang kaa patthar tere kaam aayegaa
SurKh patthar jise dil kahatii hai bedil duniyaa
Yaa vo pattharaai hui ankh ka nilaa patthar
Jis mein sadiyon ke tahayur ke pare hon Dore

Kyaa tujhe ruuh ke patthar kii zaruurat hogii
Jis pe haq baat bhii patthar kii tarah giratii hai
Ik vo patthar hai jise kahate hain tahaziib-e-safed
Us ke mar mar mein siyah Khuun jhalak jaataa hai
Ik insaaf kaa patthar bhii to hotaa hai magar
Haath mein teshaa-e-zar ho to vo haath aataa hai

Jitane mayaar hain is daur ke sab patthar hain
Sher bhii raqs bhii tasviir-o-ginaa bhii patthar
Mere ilhaam teraa zahan-e-rasaa bhii patthar
Is zamaane mein har fan kaa nishan patthar hai
Haath patthar hain tere merii zuban patthar hai
Ret se but na banaa ai mere achchhe fan_kaar

Re: Yeh hath salaamat hain jabtak- A Tribute to Labor


Restored attachments:

Re: Yeh hath salaamat hain jabtak- A Tribute to Labor


Restored attachments:

Re: Yeh hath salaamat hain jabtak- A Tribute to Labor


Restored attachments:

Re: Yeh hath salaamat hain jabtak- A Tribute to Labor

"Kya mila mujhe iss mohabbat ka silla
chand sikke hain mere hath mein chhaalo ki tarah!!"

Re: Yeh hath salaamat hain jabtak- A Tribute to Labor

ye konsi mazdori aur kis ujrat ka tazkira hai?

Re: Yeh hath salaamat hain jabtak- A Tribute to Labor

https://fbcdn-photos-a.akamaihd.net/hphotos-ak-ash4/s720x720/255729_464858476921556_1239292120_n.jpg

Re: Yeh hath salaamat hain jabtak- A Tribute to Labor

Tazheek O Ghurbat Ki Tasweer Dekhta Hoon
Main Mazdoor-E-Jahaan Ki Taqdeer Dekhta Hoon

Haathoon Per Zakham, Maathay Per Paseenah
Main Pair-E-Mazdoor Main Zanjeer Dekhta Hoon

Kar Kay Mushaqat Bhi, Martay Hain Faaqaon
Main Baykasaon Ki Soi Tadbeer Dekhta Hoon

Kya Guzarti Hay Mujh Par, Baksh, Na Pooch
Kay Haqooq Par Qaabiz Main Jab Ameer Dekhta Hoon

Re: Yeh hath salaamat hain jabtak- A Tribute to Labor

So Jatay Hain Footpath Pe Akhbaar Bicha Kar,
Mazdoor Kabhi Neend Ki Goli Nahi Khatay,

Re: Yeh hath salaamat hain jabtak- A Tribute to Labor

:k: