Waah aap ki saari gHazal hi bohaat Umdaa hai..
magar maqtaa lajawaab haii
mere passandeeda ashaar ;
Chiraag saamney waley makaa'n mein bhi na tha
Yeh saaneha merey wahm o gumaan mein bhi na tha
Hawaa na janey kahan ley gai woh teer k jo
Nishaney par bhi na tha aur kamaan mein bhi na tha
Jamaal pehli shanasai ka, woh aik lamha
Issey bhi yaad na tha merey dhiyaan mein bhi na tha
Daiyaar-e-MagHrib se jaane walo!daiyaar-e-Mashriq ke BaasioN ko
Kisi gHareeb-ul-Watan Musafir ki ChaahtoN ka salaam kehnaa
Hamaare Shaam-o-Sehar ka keya Haal poocHte ho ke lam'haa lam'haa
Naseeb in ka bana rahe haiN tumhaare hi Sub'ho Shaam kehnaa