Yeh Duaein Hain Sab Tumhare Liye...

Aadaab Dosto, Aap sabko meri jaanib se naye saal ki mubarak-baad.

Khuda kare ke naye saal ka pehla sooraj
Tere aangan mein Baharon ki naveed le ke aaye

Teri hayaat jagmagaye sitaaron ki tarha
Falak ke chaand ki manind tu damakta hi rahe

Tera daaman sada phoolon se mehakta rahe
Mausam-e-gul tere aangan mein chehakta rahe

Tere maathey se sada noor ki kirnein phootein
Tere honton ki muskanein kabhi tujh se na roothein

Teri aankhon ki chamak se sitaare rashk karein
Chamakte chaand ki kirney bhi inn mein aks karein

Khuda kare teri baaton mein woh taseer ho jaaye
Keh jo suney tau woh tera hi ho ke reh jaaye

Teri zubaan jab bhi khule sachi baat kahey
yeh tere kaan jo sunein tau achi baat sunein

Yeh tere hath sada beykason ke kaam aayen
Tere wujood se sukh sab ko muyassar aaye

Bichar gaye hain jo tujh se woh tujhko mil jaayen
Tere dushman sabhi nakaam-o-namuraad rahein

Haan tere dost sada tujh se pyar karein
Tere MaaN BaaP ka saaya sada rahe tujh par

Keh unnka pyar hamesha fidaa rahe tujh par
zara sa gham bhi kabhi na tujhko na chu kar jaaye

Tu jo chahe tau, tau bin kahe tujh ko
Harr khushi zindagi ki mil jaaye

Tera daaman buraai se hamesha paak rahe
Musarraton se tera dil hamesha shaad rahe

Tu muskuraye sada aur yunhi abaad rahe
Khuda kare yeh naya saal tujhe raas rahe..

^

good :clap:

Teri hayaat jagmagaye sitaaron ki tarha
Falak ke chaand ki manind tu damakta hi rahe

zabardast

thanx 4 so nice wish

shukriya Sokoon & m kamal ..:)

beautiful :clap:

Bohat shukriya Dil Dhoondta ..:)

Aap sab doston ke naam..

Ab ke saal kuch aisa karna
apne pichley baarah maah ke
Dukh sukh ka andaaza karna
Basri yaadein taaza karna
Sada sa ek kaghaz le ke
Bhooley bisrey pal likh dena
Apne saare kal likh dena
Par iss beetey ek ek pal ka
Apne guzre ek ek kal ka
Saare doost ikathey karna
Saari sohbatein haazir karna
Saari Shaamein paas bulaana
Aur agar gham barh jaayein tau
Mat baikaar takalluf karna
Dekho phir tum aisa karna
Meri khushiyan tum le lena
Mujhko apne gham de dena
Ab ke saal kuch aisa karna...

Bahot khoob Aryaan…:flower2:

Shukriya reet ..:)

Tnx Aryaan :flower2:

:k:

Thanx GS & Koyal ..:)

Re: Yeh Duaein Hain Sab Tumhare Liye…

very nice :k:
thanks for sharing :slight_smile:

Re: Yeh Duaein Hain Sab Tumhare Liye...

Thanx Shab-e-Hijar..:)