Yeh Dhuan Sa Kahan
dekh to dil ki jaa.N se uThataa hai
ye dhuaa.N saa kahaa.N se uThataa hai
gor kis dil-jale kii hai ye falak
sholaa ik subah yaa.N se uThataa hai
baiThane kaun de hai phir us ko
jo tere aastaa.N se uThataa hai
yuu.N uThe aah us galii se ham
jaise koii jahaa.N se uThataa hai