**Yeh bojh ab ke baar say aagay nikal gaya
Woh shakhs aitbaar say aagay nikal gaya
Kuch bhi ho ziada to munasib nahin lagta
Mera sakooN qaraar say aagay nikal gaya
Duniya to meri dhool bhi ab dhoond na pa’ay
Yeh phool ab ke khaar say aagay nikal gaya
Daikhi hai wapsi ki raah jiski umar bhar
Woh hadd-e-intazar say aagay nikal gaya
Kis tarha zamana usay wapis bula’ay ga
Jo zindagi ke taar say aagay nikal gaya
Haan haan main manti hoon ke woh bewafa huwa
Haan haan woh mere piyaar say aagay nikal gaya
Mangi dua bahaar ki to phool yoon khilay
Mera chaman bahaar say aagay nikal gaya
RAB ne khushi sabhi ko ata ki jahaan main
Lekin mere dayaar say aagay nikal gaya
Main kis tarha say usko manaoon ay MEHRO-o-mah
Woh mere ikhtiyaar say aagay nikal gaya..**