Yeh bata day mujhay zindagi...

Yeh bata day mujhay zindagi
Piyaar ki raah kay hamsafar
Kis tarah bun gaey ajnabi

yeh bata day mujhay zindagi
phoool kiyoon saaray murjhaa gaey
kis liyay bujh gaee chaandni
yeh bata day mujhay zindagi

Kal jo baahon mai thi
aur nigaahon mai thi
ab woh germi kahaan kho gaee

Naa woh andaaz hay
naa woh awaaz hay
ab woh nermi kahaan kho gaee

Yeh bata day mujhay zindagi
piyaar ki raah kay hamsafar
kis tarah bun gaey ajnabi
yeh bata day mujhay zindagi

bay-wafa tum nahin
bay-wafa ham nahin
phir woh jazbaat kiyoon so gaey

piyaar tum ko bhi hay
piyaar ham ko bhi hay
faaslay yeh phir kiyoon ho gaey

yeh bata day mujhay zindagi
piyaar ki raah kay hamsafar
kis tarah bun gaey ajnabi

yeh bata day mujhay zindagi
phool kiyoon saaray mujha gaey
kis liyay bujh gaee chaandni

yeh bata day mujhay zindagi
yeh bata day mujhay zindagi…

bari mehnat ki hai aap ney..
allah aap ko is ka ajar day gaa...
mujhey aap say bohat hamdardi hai....
kaash main aap ki koi maded kar sakta..
main aap ka itna hi saath day sakta hoon kay main
bhi lambee chori koi nazam app ko likh bhejoon..
to nazam haaziray khidmat hai...

bujh jaey shama to jal sakti hai...
kashti her toofan say nikal sakti hai. ..
maayoos na ho , apney iraaday naa badal...
taqdeer kisi waqt badal sakti hai....!!!!
allah beli.....
p.s. (the only human being)

i love pakistani pop music do you??

aap ka buhut buhut...
shukriya...
aap nay itni mehnat say...
itna waqt laga ker...
mairi hosla-afzai ki...
mai tahay dil say...
mushkoor hoon...
aap nay to saath day diya...
aik khoobsurat nazam likh ker...
mai nahin day paoon gee...
aap ki nazam buhut piyaari thi...
uss ka koi saani nahin mil sakta...

aap waisay insaan nahin lagtay...
insaanon mai hamdardi ka jazba kahaan hota hay...
meherbani...
rub raakha...

I love this ghazal of Jagjit!

app key jawab ka bohat bohat shukriya...
bari khusee huvee aap say mil kar...
aap yaqeen ke jeay main insaan ka hi bacha hoon..
aap key naam kay hawalay say ik do sher haaziray khidmat hain...

  • sirakti jaey hai rukh say naqab aahista aahista nikalta aa raha hai aaftab aahista aahista

woh bedardi say katain sar
aur main kahoon janab aahista aahista

jawan honay lagay to hum hee say kar liya parda
"HAYAA" yaq lakht aaee aur shabab aahista aahista

(p.s) sada kush raho, aur hayaa daar raho...

why...............???
.
.
.
.
??????why..........do u sound so familiar??????

This begs for another song

ajnabi, tum jaane pehchnay say lagtay ho.

KYOON KAY...

kabhi kabhie mere dil main khyaal aata hai
kay zindagi teri zulfon ki naram chaon main
guzarne paati to shadab ho bhi sakti thee
yeh teergi jo meri zaist ka muqaddar hai
teri nazar ki shoaoon main kho bhi sakti thi

kabhi kabhie mere dil main khyaal aata hai
kay jaisay tujh ko banaya gaya hai mere liyay
too ab say pehlay sitaron main
bas rahi thi kahin
tujhey zamin peh utaara gaya hai mere liyay
(and so on)..................
thanks for your responses.....
.......................................................