~*~ Yeh baat alag ... Woh paas nahe ~*~

Sab log yeh mujh se kehtay hain
Nazmoon se ishq Khuda jaisa
Ghazaloon mein kaif udaasi ka
Kis dost ne tum ko sounpa hai
Mera ek jawaab hamesha se
Ek shaks shehar mein aaya thaa
Kuch roz woh mere saath raha
Mujhe lehjay ke amrat ras mein
Us ne kuch aisa rang diya
Har nazuk dil moh lenay ka
Mere lafzoon ko aahang diya
Phir soch ke taanay baanay mein
Uljha kar mujh ko chor gaya
Kuch din se us ki yaad yunhi
Is dil per dastak deti hai
Aur paoun mein zanjeer pari
Kab hum ko jaanay deti hai
Kab dil mei us ki aas nahe
Yeh baat alag woh paas nahe …

Re: ~~ Yeh baat alag ... Woh paas nahe ~~

Nice1 :)

Re: ~~ Yeh baat alag ... Woh paas nahe ~~

Nice

Re: ~~ Yeh baat alag ... Woh paas nahe ~~

ohhhh feelings so beautifully put into words