Aadab,
Aap subki is khoobsurat mehfil mein aaj pehli daffa shareek horehi hoonh; Umeed hay mujhey bhi yehaan bauhat achey dost milein gay. Socha, ibteda kyoon na apnay hi lafzon sey karoon:
YEH BAARISH…
Jaaney kis junoo(n)mein aaj phir qalam utha liya mein nay -
Yeh baarish mujhey rulaney pay tulli hay
Hoslay ka bandh baandh kay meinnay jis sailab ko hay roka hua
Ussi sailab mein behaney pay tulli hay
Kachi umar ki larkiyon kay ashkon ki taranh khamosh kabhi
Kabhi nau-beyahta beiwa ki cheekhon si yeh baarish -
Jaaney kyoon meira imtehaan leinnay chali aayee hay -
Dukh sukh; Tishnagi; Aaah-o-Fughaan; Sood-o-ziyaan -
Mein yeh sub soch hi rehi thi kay baarish haar gayee
Abhi to meinnay zikr shuru bhi na kiya tha,
Abhi to meri aankhon mein teizaab utra bhi na tha
Magar baarish haar gayee -
Jis bisaat ka har mohra hi merey haath tha
Oosi pay mujhey aazmaaney aaye thi
Aaj baarish mujhey rulaney aayee thi!