Yeh ayeenay jo tumhain; kam pasand kartay hain

Yeh ayeenay jo tumhain; kam pasand kartay hain Inhain khabar hay, tumhain; ham pasand kartay hain

Tumhain khuda nay, zamanay main, nazneeN kia
Meri nazar nay, tumhain aur bhi haseen kia
Teray bagair safar kia hay, raasta kia hay
Ham ashiqon ko zamanay say, wasta kiaa hay

Kay ham to aap ko, janam; pasnad kartay hain
Isi liay tumhain mosam pasand kartay hain
Yeh ayeenay jo tumhain; kam pasand kartay hain
Inhain khabar hay, tumhain; ham pasand kartay hain

Qareeb ayo kay bhar lain; tumhain nigahon main
Tumhain samait lain in bay; Qaraar banhoon main
Hay kon aisa jissay dharkanoon main band karain
Tumhi bataoo tumhain kiyoon na ham pasand karain
Kay piaasay log hi shabnam pasad kartay hain
Koi karay na tumhain ham pasand kartay hain
Yeh ayeenay jo tumhain; kam pasand kartay hain
Inhain khabar hay, tumhain; ham pasand kartay hain

wow :-O

Yeh ayeenay jo tumhain; kam pasand kartay hain
Inhain khabar hay, tumhain; ham pasand kartay hain

*aayeenay bhee jo aap kaa ehtraam kartay haiN
inhaiN maaloom hay humm aap kaa ehtraam kartay haiN * :)

:k: :k: :k:

Re: Yeh ayeenay jo tumhain; kam pasand kartay hain

lajawab ata bahii:k: :k: :k:…
**
Yeh ayeenay jo tumhain; kam pasand kartay hain
Inhain khabar hay, tumhain; ham pasand kartay hain**

beautiful…:k:…

thanx for sharing:hug:…

:k:

Nice 1 :p

Wow Ata.. :k: Thats really beautiful.. Lovely piece of poetry :slight_smile:

Wah :k:

hummm

Sab ka 2,2 Kiloo thankooo :teary1:
Ghazal and Anwaar ka 4,4 kilo thankoo…hehe :flower1:
Philantrop ka 3 kiloo thankoo :smooth:
cutepie, sadeyes, mannan, and capri ka 1,1, kiloo thankoo…
and Azad ka aidhi chatank thankoooo…:Re: hmmmm :stuck_out_tongue:

:flower1:

bohat khoob:flower1:

hehe me special na right? :blush:

Beautiful, kiya baat hai :k::k:

(Ata bahi, mera 5 kilo thankoo na :smooth::p)

very very special :slight_smile:

tootay asmaan… kia karoon phool ka ? :stuck_out_tongue: thankoo adha kiloo…
Diyaa ji…shukriaa :slight_smile:

Vived the great …:bummer: ummm… 3.5 kiloo lay lo abhi …next time 5 kiloo :smiley:

jee nahi :teary1: mujhey 5 kilo thankoo hi chahiyee… :snooty:

wah very nice :k:

:blush: :hug: :flower1:

bohat achay :k:

tumhaiN bhee 8 kilo ‘you are welcome’ :stuck_out_tongue: