***~***Yeh akelaypan ki udaasian***~***

*Yeh akelaypan ki udaasian, yeh firaaq lamhay azab say*

Kabhi dasht-e-dil pay bhi a rukain teri chahton kay kaflay

Main hon tujh ko jaan say aziz tar main yeh maan lon ajnabi

Teri baat lagti hai weham si, teray lafz lagtay hain khwab say

Yeh jo mera rung roop hai yunhi be sabab nahi dosto

Meray khushbo’on say hain silsilay meri nisbatain hain khwab say

Wahi mua’atbar hai meray liay wahi hasil e dil-o-jaan hai

Wo jo baab tum nay chura lya meri zindagi ki kitaab say

Re: ~Yeh akelaypan ki udaasian~

Main hon tujh ko jaan say aziz tar main yeh maan lon ajnabi

Teri baat lagti hai weham si, teray lafz lagtay hain khwab say

V nivce elaaf :lajawab:

Re: ~Yeh akelaypan ki udaasian~

bht nice:k:

Re: ~Yeh akelaypan ki udaasian~

Bahut khoob … :k:

Re: ~Yeh akelaypan ki udaasian~

Good One Elaaf..:k:

Re: ~Yeh akelaypan ki udaasian*~*

nice 1

Re: ~Yeh akelaypan ki udaasian*~*

thanx frendz..... :)