Yeh ajeeb meri muhabbtain(by Farhat Abbas Shah)

Koi poochay tou mai kia kahoon
Usay kia bataon!
Yeh roz o shab tou janam janam per muheet hay
Mere zakhm zakhm Dil o Nazar
Mujhay is janam mein nahi milay
Mere ratjage, mere hamsafar
Mere saath aaj nahe chalay
Yeh muheeb wehshat e fikar jo
Mere naqsh naqsh ki rooh hay
Koi be-sabaat biyaan nahe
Yeh tou aatmaon ka aks hay
Yeh tou devtaon ka dhiyan hay
Yeh tou janay kaisee sadi sadi ki azziaton ka giyan hay
Yeh ajeeb meri muhabbatain,Yeh ajeeb mere gham o alam
Yeh naseeb sang e siyah per
Yeh waraq waraq per garay qalam
yeh kara hisaar niya nahe
mera intizar qadeem hay
Mera us say piyar qadeem hay
Yeh ajeeb meri muhabbatain!!!


Re: Yeh ajeeb meri muhabbtain(by Farhat Abbas Shah)

Thanx 4 Sharing, Phir parh ker phir lutf aaya

Re: Yeh ajeeb meri muhabbtain(by Farhat Abbas Shah)

very nice poem…:k:

Re: Yeh ajeeb meri muhabbtain(by Farhat Abbas Shah)

buhut khub :k:

Re: Yeh ajeeb meri muhabbtain(by Farhat Abbas Shah)

bohat khoob

Re: Yeh ajeeb meri muhabbtain(by Farhat Abbas Shah)

very nice....Eemaan....thnx for sharing!

Re: Yeh ajeeb meri muhabbtain(by Farhat Abbas Shah)

Thanks everyone,,