Yeh ajeeb marhallay hain, yeh ajeeb silsilay hain
Ke jahaan se hum chalay thay, us mor per kharay hain
Wohi raasta hamaara hai, wohi dagar hamari
Jo na jaaye manziloo tak, yeh wohi tu raastay hain
Rahe saath saath har pal, na gumaan huwa yeh mil kar
Jissay dosti thay kehtay, woh kuch aur silsilay hain
Yeh saraab tu nahee hain, koi khwaab tu nahee hain
Zara aap hi bataaein, yeh jo hum mein faasilay hain
Nahee mumkin us ko paana, tu phir us se kyon milein hum
Karain justujoo bhi kyon hum, is soch mein paray hain
Tere naam zindagaani hai, yehi meri kahaani hai
Meri zindagi mein raushan, teri yaad ke diye hain
‘Arif’ qurbatoon se pehlay, zara juratton se pehlay
Meri jaan soch lena ke yeh raastay karray hain
Mere jaise ban jaoge jab ishq tumhein ho jaayega…!