Yeh ada-e-khud farebi toh mizaaj hai humaara

**Yeh ada-e-khud farebi toh mizaaj hai humaara
Na kareeb tha kinaara na kareeb hai kinaara

Na khatta hai doston ki na qasoor hai tumhaara
Mujhe raah-e-dosti mei meri saadgi ney maara

Gham-e-zindagi ko mai nay kia hai bakhushi gawara
Na kisi say iltija ki na kabhi tumhein pukaara

Mujhe tum nay yaad rakha yeh karam bhi kam nahi hai
Sar-e-rah mujh ko pucha yeh khuloos hai tumhaara

Na kabhi zaban khuli hai na kabhi zaban khulay gi
Jo shikast hai muqaddar toh shikast bhi gawaara

Kabhi hum bhi chahtay thay k milain humain saharay
Magar ab yeh darr rahay kahin koi dey na dey sahara…!**

Re: Yeh ada-e-khud farebi toh mizaaj hai humaara

**Gham-e-zindagi ko mai nay kia hai bakhushi gawara
Na kisi say iltija ki na kabhi tumhein pukaara

:k:

Jisse ek dafa apne marzi se choRa jae, usko uski zindagi se pukarna rishton ki toheen hoti hai…
**

Re: Yeh ada-e-khud farebi toh mizaaj hai humaara

rightly said…:k: