Re: ye wahshat naak sanaa'tey ye tanhaa'ee mujhay day do
***dukhoN ki shidateiN zakhmoN ki gahra'ee mujhay day do***
***masiha tum sahi azn-e-masiha'e mujhay day do***
***tum apni zaat maiN khud anjuman ho tum ko kiya gham hai***
***maiN tanha hun ye zoq-e-bazam araa'ee mujhay day do***
***tum apnay dil k darwazey muqafil shok se kaR lo***
***bas apni zaat se azn-e-shanasa'ee mujhay day do***
***tumhaRey baad heR manzeR mujhay bay'Rang lagta hai***
***ye ankheiN cheeN lo ya apni beyna'ee mujhay day do***
***maiN sansooN maiN samoo looN ga tumhaRi heR imanat ko***
***ye wahshat naak sana'tey ye tanha'e mujhay day do ***
Wah wah wah zalim shairee hai oor zalim choice hai...........:)