ye wahshat naak sanaa'tey ye tanhaa'ee mujay day do

*

dukhooN ki shidataiN zakhmooN ki gahra’ee mujhay day do
maseeha rum sahi azan-e-misahee mujhay day do

tum apni zaat maiN khud anjuman ho tumhain kia gham
maiN tanha hooN ye zoaq-e-bazam araa’e mujhay day do

tum apnay dil k daRwazay muqafil shoaq se kar lo
bus apni zaat se azn-e-shansa’ee mujhay day do

tumhaRay baad haR manzaR mujhay be-rang lagta hai
ye aankhaiN cheeN lo ya apni bayna’ee mujhay day do

maiN saansooN maiN samoo looN gha tumhaRi haR amant ko
ye wahshat naak sanaa’tey ye tanhaa’ee mujay day do

meRi shuhRat tumhaRay kaam a jaiey tu haziR hai
tumhaiN dunia ne jo bakhshi hia wo ruswaa’ee mujay day do

maiN shaa’eR hooN meRay be-kaif be-taseeR lufzoN ko
amaR kaR do tum apnay gham ki raa’naee mujhay day do

Re: ye wahshat naak sanaa’tey ye tanhaa’ee mujay day do

very cool :k:

superb :k:

Beautiful :-)

awesome....

Beautiful :k:

Re: Re: ye wahshat naak sanaa’tey ye tanhaa’ee mujay day do

shukria sardi tu nahi lagi itni cool maiN :expressionless:

shukria..:slight_smile:

shukria farwoo :hoonh:

shukria shabo and gazaloo..:slight_smile: