Ye tum achhaa nahe Kartay.

akelay Jo Dukh Uthaatay ho,
Ye tum achaa nahe Kartay..

Humaara Dil Jalaatay ho,
Ye tum achhaa nahe Kartay..

Kahaa Bhe tha muhabbat hay,
Muhabbat he isay Rakho..

Tamaasha Jo Banaatay ho,
Ye tum achhaa nahe Kartay..

Uthaatay ho falak tak tum
humain Sir -e- mehfil magar,

Uthaa Ker Jo Giraatay ho,
Ye tum achhaa nahe Kartay..

Koi Jo Pooch Lay tum say K,
Rishtaa Kyaa hay ab Un say..

Tou nazron Ko Jhukaatay ho,
Ye tum achhaa nahe Kartay..

Bikhar Jaayain andheron may,
Sahaara tum tou Detay ho,

magar Phir Chhod Jaatay ho,
Ye tum achhaa nahe Kartay.

Re: Ye tum achhaa nahe Kartay.

Yeh App Main Ajj Meri Roh Kahan Se Ghus Gaye..

Re: Ye tum achhaa nahe Kartay.

buss dekh lijiye…apne mood ke maalik hoon :mehr:

Re: Ye tum achhaa nahe Kartay.

Chalo Acha Hai, Khushian Ka Mood Bhe Ata Hoga Na…

Ye tum achhaa nahe Kartay.

:naak:

Re: Ye tum achhaa nahe Kartay.

yes :smiley: hur qism ka mood hota hai

kya hua aapko ?

Re: Ye tum achhaa nahe Kartay.

Uthaa Ker Jo Giraatay ho,
Ye tum achhaa nahe Kartay..

:sid:
vo kehta hy ager tume yi pata chal jae k tum mujy kitni piyari ho
to tum kisis ki jene na do :@:

Re: Ye tum achhaa nahe Kartay.

[QUOTE]
vo kehta hy ager tume yi pata chal jae k tum mujy kitni piyari ho
to tum kisis ki jene na d
[/QUOTE]
kyon ?

Re: Ye tum achhaa nahe Kartay.

kia pata :@:

Re: Ye tum achhaa nahe Kartay.

Waqai yeh tou aapkay saath achcha nahin ho raha ...

Re: Ye tum achhaa nahe Kartay.

dekha…i knew it…:naak: ab solution batao :@:

Re: Ye tum achhaa nahe Kartay.

haan ji..w aqai acha nahin karta zalim

Re: Ye tum achhaa nahe Kartay.

so ab mai zulm ker sakti hoon ? :D

Re: Ye tum achhaa nahe Kartay.

zulm ka jawab zulm to nahin hota

Re: Ye tum achhaa nahe Kartay.

phir kya akron :(

Re: Ye tum achhaa nahe Kartay.

tackle tactfully

Re: Ye tum achhaa nahe Kartay.

:mad: